Hai dard phailaa, hai zakhm gehra
Kyun door tak hai, tehra andhera
Hai yeh dhundh, yeh dhundh kaisi kaisa hai kohra
Khoya kyun aaine main uska chehra, aaine me uska chehra
Nind royi raat raat ja woh judaa ho gayi
Raat royi raat raat ja woh khafaa ho gayi
Aankhon main aasuon ka hai pehra
Aasuon ka hai pehra
Yeh tapish na jaayegi,
Na yeh khalish jaayegi
Dard ki aaghosh me
Har khushi khamosh hai
Diktha nahi dhuan dhuan hai yeh chehra,
Dhuan dhuan hai yeh chehra
Kahaan ho tum, kahaan ho,
Chale aao jahaan ho
Woh yaadein yaad aati hai,
Kahaan ho tum, kahaan ho
Teri yaadein rulaati hai, aa jao teri yaadon ne ghera,
Teri yaadon ne ghera